Thursday, June 12, 2008

Dil...

Kitni mohabbat karte hai hum unse woh jan lene ki fursat unhe nahi hai
Aasuo me dubi hamari zindagi ki daastan ko unhone ek kahani kahi hai
kon samjaye us bewafaa sanam ko mohabbat me unke liye kaha kaha se gujre
kahi ka na chhoda bewafaa ne aaj to mang lene par mot bhi nahi hai

Mohabbat ke vaado pe bharosa karneki gustakhi bilkul hi na kijiyega
vaado pe agar bharosa ho jaaye to ret ki deewaro ka jayja juroor lijiyega
umar bahot hi kam hoti hai mohabbat ke vaado ki jese khusboodar phool
vaado ke tootne pe aansu kam pad jaate hai udhar bhi nahi milte yaad juroor rakhiyega

Mohabbat karke hamne konsa dukho bhara raasta ikhtiyar kar liya, apne hi haatho apni hi zindagi ko barbaad kar liya
Naa subah jaldi hoti hai naa sham pata chalti hai, kambakht mohabbat ne hame madira se Dil laga ne pe majboor kar liya
unhone hamse kaisi bagawat ki naa koi raah nazar aati naa koi ummid ki kiran dikhai deti hai
Phir bhi duaao me kyu hum khuda se unhe talab karte hai hamari wafaa ne bewafaa se bhi pyar karna sikh liya

Is kadar bewafaai ki mere yaar ne o yaaro woh kis jahan me hai use dhundh ne ki dil jahmat uthana nahi chahta,
Kya khush haal zindagi thi hum dono ki ek dusre ke saath , ye dil aaj bhi kaante ki taqlif unke liye nahi chahta,
humne koi khata nahi ki phir bhi bewafaa ki kaanto jesi chubhan kyu hume chubh chubh ke unki yaad dilati hai
Hume jaan se bhi aziz tha woh aur aaj bhi aziz hai woh aayenge ek din kyu is baat ki tamanna lekar yeh dil marna nahi chahta

Phoolo ke saath kaanto ka basera , yehi phoolo ki shaan hoti hai
Dukho ko chupakar hansneki aarzoo har insaan me kaha hoti hai
Dhoka hai, juth hai aurat ke aankhon se behta har pani ka katra
bas yeh samaj lo marnewalon ko jine ki chah kaha khatam ho jati hai

Badi nikammi hoti hai yeh duniya auro ke zakhmo ko zakhm ki nazar se dekh le, itni taqat unme nahi hoti,
Registan ki beshumar dhup me pyas lag jaaye to tadapkar mar jaaoge , dhup aur ret ko yaaro raham nahi hoti,
Tamasha dekhnewale ki badi lambi katare hoti hai , khud tamasha ban jaao kabhi duniya ki asliyat ke liye,
Tumhare dukh ke liye koi ro bhi le ,dikhava hai , juthe hai yeh aansu inme
dard ki dawaa wali baat nahi hoti,

Zindagi....

Zindagi se jude hote hai anubhav,
anubhavo se judi hoti hai yaadein aur
yaadon se jude hote hai ehsaas.
Har lamhe ke saath badalte hai humare ehsaas.
Har ehsaas ke saath badalti hai humari zindagi.
Kabhi dard ka ehsaas, Kabhi khushi ka ehsaas,
Kabhi zindagi khone ka ehsaas, Kabhi kuch paane ka ehsaas.


Zindagi ka har pal jeete hue guzarte hai
hum bhaavnao ke sailaab se jise kehte hai Ehsaas.
Lamha lamha apni guzarti zindagi ke pal
mere aansuo aur muskurahaton se bhar kar dekhe.
Saanson ka zindagi se, chand ka chandani se,
lehro ka sagar se, aisa hi rishta hai anubhavo
ka ehsaas se. Jise hum har pal mehsus karte hai
kisi ke saath hone ka ehsaas humein khushi se bhar
deta hai to uski judaai ka ehsaas humein dukh se tod deta hai.
Zindagi hai naam iska jiske har pal ko ehsaas kehte hai.
Meri zindagi ke har lamhe mein shamil ho kar dekhiye.................