Saturday, March 28, 2009

Sari umar ankho me ek sapna yaad raha..

Sari umar ankho me ek sapna yaad raha,

Sadiyan beet gayi jisme wo lamha yaad raha,

Na jane kya baat thi unme,

Sari mehfil bhul gaye bus wo hi ek chahra yaad raha...

sawal uski khushi ka...

Thukra ke usne mujhko,

kaha ki muskuraao!

Maine has diya,

aakhir sawal uski khushi ka tha...

hum to jaan bhi de denge apko pane ke liye..

Mana ki tum jeete ho zamane k lye,
ek bar jee k to dekho hamare liye.
dil ki kya aukaat apke samne,
hum to jaan bhi de denge apko pane ke liye.

Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka..

Palkon pe aanso’on ko sajaya na jaa saka
us ko bhi Dil ka haal bataya na jaa saka
zakhmon se choor choor tha yeh Dil mera
ek zakham bhi us ko dikhaya na jaa saka
jab teri yaad aayi to koshish ke ba wajood
aankhon main aanso’on ko chupaya na jaa saka
kuch log zindagi main aise bhi aaye hain
jin ko kisi bhi lamhe bhulaya na jaa saka
bas is khayaal se kahin us ko dukh na ho
hum se to haal-e-ghum bhi sunaya na jaa saka
woh muskurah rahi thi mere ru-ba-ru magar
chehre ka rang us se chupaya na jaa saka
tanhaiyon ki aag main hum jal gaye
magar faaslo mitaya na jaa saka.

Dil lagi ki kisi ko aisi saja na mile...

Dil lagi ki kisi ko aisi saja na mile,
Pyaar ke bina jini pade zindagi aisi kisi ko maut na mile,
Kam se kam sambhalne ke liye dosto ka sahara toh mile,
Zindgi mein sabki din hai 4(Char),
Unme kisi ko itne gam na mile,
Mohabbat hoti nahi sabse zindagi mein,
Jisse ho mohabbat ho dil se,
Bas dil ko uss se bewafai na mile,
Hum toh ji lenge kaise bhi unke bin,
Bas hamari wajah se unki aankho ko kabhi ansu na mile.

Kash

Kash Ye Dil Shishe ka bana hota,
Chot Lagti to Beshak ye Fanah hota. .

Par Sunte Jab Wo Aawaz iske Tutne ki,
Tab Unhe b Apne Gunah ka Ehsaas hota...

.......................................

Wo mere liye kuch khaas hai yaaro'
Jinke laut aane ki na koi aas hai Yaaro'

Wo najro se door hai to kya huwa..
Banke dil ki dhadkn mere paas to hai yaaro'

.......................................

Nigaho me or koi dosti ke kabil na raha,
Is kinare ka or koi sahil na raha.

Chand jaisa dost mila hume zamin par,
Aasma ka chand bhi ab deedar k kabil nahi raha.

.......................................

Dhala din..
Fir wahi shaam hogi..
Askh honge, yaadein hongi,
Zindgi...,Fir gum k pyalo k naam hongi.
Hasrato ki mehfil....
Uhi viraan hongi.

.......................................