Friday, July 4, 2008

Duniya ke rang humne dekhe hai..

Duniya ke rang humne dekhe hain,
Duniya ke dhang humne dekhe hain,
Rishte badalte huye hamne dekhe hain,
Rishte tutte huye humne dekhe hain.

Dikhawe ka jhoota mukhota pahne,
Milte hain bar bar humse aise,
Matlabi log gale milte hain jaise,
Peeth me khanjar chubhote huye humne dekhe hain.

Maayusi hoti hai jab apna koi dil tode,
Honth chup, aankh nam, sab sunte rahe.
Fir kyun dil bechain udas hai aaj,
Gum ke andhero me khote huye humne dekhe hain.

Is duniya mein sachhe Insaan kaha milte hain,
Jin par Qurbaan hone ko dil karta hai,
Ek taraf maayusi, dusri taraf khushi hai,
Chehra to bohat door, hume to sirf parchhai nazar aata hai...