Aisa hi hota hai…
Ke jisko jitna sambhalo..
woh Utna hi door chala jata hai !
Lekin aisa bhi kya hota hai …
Rota hai koi tootkar tanhai mein,
Phir bhi duniya mein woh hasta hai …
Lagta hai jaise mitayi thi hasti,
Sab jaise ab hara hua sa lagta hai ..
Jaane kitne wade liye-diye,
Chhootne pe sab bojhil sa dikhta hai…
Aisa hi hota hai..
Ke jisko jitna sambhalo,
woh Utna hi door chala jata hai !
De jata hai sirf kuch ahsaas,
Phir sabkuch pehle sa hota hai ..
Karta hai kuch shikwa-shikayat,
Dil, lekin phir se shamil duniya hota hai..
Naa thamegi uski zindagi,
Naa yahan kuch rukta sa dikhta hai…
Malum hai tum sambhal jaaoge,
khone ka Dard toh sirf hum ko hi milta hai ….!
Thursday, January 24, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment