Monday, February 23, 2009

Intazaar tumhara ab talak hai...



Tumse milkar kisi se mila na gaya
Is jahan mai koi tumsa nahi tou kya karoon
Taman raat taare ginti hain aankhein
In mai neend na samaye tou kya karoon...

Har ghadi sunti hoon tere kadmon ki aahat
Palat kar dekhne par kuch na paoon tou kya karun
Voh sangdil gairon par karam karta hain
fir bhi uspar hi pyar aaye tou kya karoon...

Aankhon ki nami ko chupa kar jeene ki aadat hai hume
Sawan main barish sang ashq bah gaye tou kya karoon
Kab tak sahna hoga ay khuda jeene ka gum
Na unki khabar aaye na jaan jaye tou kya karoon...

Tum aasmaan ke Khoobsurat Chand ho
tumse dosti karne ki nadani ho gayi
dharti aur aasmaan kahan milte hain
ek kahani meri jindagani ho gayi...

No comments: