Thursday, March 13, 2008

Ulfat ki Shayari

Raang Laati Hai Heena Patthar Pe Ghis Jane Ke Baad |
Surkharu Hota Hai Insaa Aafate Aane Ke Baad ||

Jo Teri Nigaha Ka Bismil Nahi Hai |
Wo Kahane Ko Dil Hai Magar Dil Nahi Hai ||

Sar Wah Kya Sar Hai Jis Sar Me Na Ho Souda Tera |
Dil Wah Kya Dil Hai Jis Dil Me Teri Yaad Na Ho ||

Jo Na Jaaye Na Aaye Ulfat Me,
Wah Koi Jaan Wah Koi Dil Hai?

Gar Hui Na Dil Me Mae Ishq Ki Masti,
Phir Kya Dukandari, Kya Khudaparasti |


Jaa Ghat Prem Na Sanchare So Ghat Jaan Masaan |
Jaise Khaal Luhar Ki Saas Let Binu Praan ||


Yaar Gamakhwar Ko Pehchana Na Tune Abtak |
Buto Ke Ishq Me Gamo Ranj Utthaye Toone ||
Sachche Mehaboob Se Kinhi Na Muhobbat Paida,
Yaar Khudgarj Va Manahoos Banaye Tune ||

Husna Par Mushtaq Hona Har Kisi Ko Pasand Hai,
'Baldev' Sadiq Yaar Par Dilo JaanNisari Aur Hai |

Kabir Mana Mirtak Bhaya Durbal Bhaya Sareer |
Paachhe Laage Hari Phire Kahat Kabir Kabir ||

Jinhe Hai Ishq Saadiq Ve Kahan Faryaad Karate Hai,
Labo Par Muhre Khamoshi - Dilo Me Yaad Karte Hai |

Preeti Jo Laagi Ghuli Gayi, Paith Gayi Mana Maahi |
Roma Roma Peu-Peu Karai, Mukha Ki Sardha Naahi ||


No comments: