Hasta huya dekh kar log kehte hain ke hum gam se khali hain, par unhe kya pata ke jo gam ke baag hain, hum us baag ke mali hain..
Zuban khamosh, ankhon me nami hogi,
Yahi bas ek dastan-e-zindagi hogi,
Bharne ko to har zakham bhar jayega,
kaise bharegi wo jagah jaha Teri kami hogi.
Kabar ki mitti utha ke le gaya koi, isi bahane humein choo kar chala gaya koi, tanhayi aur andhere mein khush they hum, lekin phir se intezaar karne ki wajah de gaya koi..
Dil to unke seene mein bhi machalta hoga..
husn bhi so-so rang badalta hoga..
Uthti hongi jab nagahein unki..
Khud "khuda" bhi gir-gir ke sambhalta hoga..
Kadam kadam pe baharon ne saath chhoda, zaroorat padne par yaaron ne saath chhoda, vaada kiya sitaron ne saath dene ka, subah hone par sitaron ne bhi saath chhoda.
Khamoshiyan teri mujhse baatein karti hain, meri har aah har dard samajhti hain. Pata hai majbuur hai tu bhi aur main bhi, phir bhi aankhein tere deedar ko tarasti hain.
Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin, bhool aaye hum apni takdeeren kahin. Agar mile tumko kahin to utha lena, mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.
Bolti hai dosti, chup rehta hai pyar. Hasati hai dosti, rulata hai pyar. Milati hai dosti, juda karta hai pyar. Phir bhi kyun dosti chodkar log karte hain pyar??
Unki tasveer ko seene se laga lete hain, iss tarah judai ka gham mitaa lete hain. Kisi tarah zikar ho jaye unka, to hass kar bheegi palkein jhuka lete hain.
Bheeg jaati hain palkein tanhayi mein, darte hain koi jaan na le. Pasand karte hain tez barsaat mein chalna, kahi rote hue ko koi pehchaan na le.
------------------------------------------------------------------------------------------------
Teri dosti mein khud ko mehfooz maante hain, hum doston mein tumhe sabse azeez maante hain. Teri dosti ke saaye mein zinda hain, hum to tujhe khuda ka diya hua tabeez maante hain.
Tu dekh ya na dekh, tere dekhne ka gam nahi,
Par teri ye na dekhne ki ada dekhne se kam nahi.
Aaj didar, kal yaar, parson pyaar,
phir ekrar, phir intezar, phir takrar,
phir darar, sari mehnat bekar,
aur aakhir mein ek aur devdas at beer bar.
Bazu-o-mein dum rakhta hun,
Dil mein gum rakhta hun,
Pata tha SMS ayega tera,
Isliye DISPRIN sang rakhta hun.
Dil ka dard dil todne wale kya jane,
Pyar ke rivazon ko zamana kya jane,
Hoti hai kitni takleef ladki patane mein,
Ye ghar pe baitha ladki ka baap kya jaane.
Aey mere SMS mere dost ke pass jana,
Agar wo so raha ho to shor mat machana,
Jab wo jage to dhire se 'Muskarana',
Phir kehna "KANJUS" SMS karo!
Aahat si koi aaye to lagta hai ki tum ho,
Saya sa koi lehraye to lagta hai ki tum ho,
Ab tumhi batao tum kya kisi bhoot se kam ho?
Kya lekar aaya tha?
Kya lekar jayega?
Mujhe SMS na karke zaalim,
Tu kitna chillar bachayega?
Jab jab ghire badal teri yaad ayi,
Jab jhoom ke barsa sawan teri yaad ayi,
Jab-jab mein bhiga teri yaad ayi,
Ab raha nahin jata, Chatri Lauta de Bhai.
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain,
Yeh to unke bachche hee kaminey hain,
Jo Mama-Mama kehke bulaate hain.
-------------------------------------------------------------------------------------------------
Hum na hote to aapko gazal kaun kehta, apke chehre ko gulab kaun kehta,
Ye to karishma hai hum pyar karne walon ka warna pattharon ko Taj Mahal kaun kehta.
Ankhein khuli ho to chehra tumhara ho,
Aankhein bandh ho to sapna tumhara ho,
Mujhe maut ka dar na hoga,
Agar kafan ki jagah dupatta tumhara ho.
Pyara sa ehsas ho tum, har pal mere pas ho tum,
Jine ki ek aas ho tum, mann ka ek vishwas ho tum,
Shayad is liye.... Kuch khas ho tum.
Dil mein umeedo ki shamma jala rakhi hai,
Humne apni alag duniya basa rakhi hai,
Is umeed ke saath ki ayega SMS aapka,
Humne mobile par nazrein jama rakhi hein.
Unka ashiyana dil mein basa rakha hai,
Unki yadon ko seene se laga rakha hai,
Pata nahi yaad aate hain wohi kyun,
Vaise dost to hamne auron ko bhi bana rakha hai.
Baag ki har kali, khushbu de apko,
Suraj ki har kiran, nai subah de apko,
Hum to kuch dene ke kabil nahi hain,
Zindagi behaal hai,
Sur hai na taal hai,
Msg box bhi kangal hai,
kya aapki sms factory me hartal hai,
Yaar kuch to bhejo ye meri mobile ki zindagi ka sawaal hai.
Hum dua karte hain Khuda se,
ki wo aap jaisa dost aur na banaye,
Ek Cartoon jaisi cheez hai humare paas,
kahin wo bhi common na ho jaye!
Tere DIL mein rahenge SMS bankar,
Dhadkano mein bajenge RINGTONE bankar,
Kabhi apne DIL se juda mut Samajana,
Hum tere saath chalenge NETWORK ban.
Tere DIL mein rahenge SMS bankar,
Dhadkano mein bajenge RINGTONE bankar,
Kabhi apne DIL se juda mut Samajana,
Hum tere saath chalenge NETWORK bankar!
No comments:
Post a Comment