Aapki muskan hamari kamjori hai,
Keh na pana hamari majburi hai,
Aap kyon nahin samajhte is khamoshi ko,
Kya khamoshi ko zuban dena jaruri hai?
Soch ko badlo, sitare badal jayeng,
Najar ko badlo, nazare badal jayenge,
Kashtiya badalne ki jarurat nahi,
Dishaon ko badlo, KINARE badal jayenge.
Do pal ki bhi khushi na mili to kya hua umr bhar gam ke sahare ji lenge,
Kya hua jo hamari girlfriend nahi, hum aapki girlfriend ke sahare ji lenge.
Ek din hamare annsoon humse pooch baithe, humey roz -roz kyon bulate ho,
Humne kaha hum yaad to unhe karte hain tum kyon chale aate ho.
Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh dhundhte hain waqt aisa jab,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.
Qayamat tak tujhe yaad karenge,
Teri har baat par aitbaar karenge,
Tujhe SMS karne ko to nahi kahenge,
Par phir bhi tere SMS ka intezar karenge.
Koi ankhon se baat kar leta hai,
Koi ankhon mein mulakat kar leta hai,
Bada mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar sawaal kar leta hai.
Ai mere humnashin chal kahin aur chal,
Is chaman mein ab apna guzaara nahin,
Baat hoti gulon tak to seh lete hum,
Ab to kaanton pe bhi haq hamara nahin.
Bahut dur magar bahut paas rehte ho,
Aankho se dur magar dil ke paas rehte ho,
Mujhe bas itna bata do kya tum bhi mere bina udaas rehte ho?
Hume Hasne-Hasane ki aadat hai, Nazron se Nazar Milane ki aadat hai,
Par hamari to nazar unse hai ja mili, Jinhe nazar Zhukake Sharmane ki Aadat hai.
-------------------------------------------------------------------------------------------------
Chand lamhon ki zindagani hai, nafraton se jiya nahi karte,
lagta hai dusamanon se guzarish karni padegi, dost to aab yaad kiya nahi karte
Dhoka diya tha jab tum ne mujhe,
Dil se main naraaz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal dun,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.....
Teri dosti hum is tarah nibhayenge,
Tum roz khafa hona hum roz manayenge,
Par maan jana manane se,
Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge.
Manzil unhi ko milti hai, Jinke sapno me jaan hoti hai,
Pankh se kuchh nahi hota, Hauslon se udaan hoti hai.
Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe.
Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai, Kaanon me gunjti shahnai si lagti hai,
Aap karib ho to apnapan hai,
Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai.
Woh inkar karte hain ikrar ke liye,
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
Ulti chaal chalte hain yeh ishqwale,
Ankhein band karte hain didar ke liye.
Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai!
Ek ada aapke dil churane ki, ek ada aapke dil me bus jane ki,
Chehra apka chand sa aur ek zid hamari chand pane ki.
1 comment:
very nice........
Post a Comment